Sunday 13 September 2015

History of Parker pen

PARKER PEN KI HISTORY
Aaj tak hamne aapse bahut si inspritional story batayi he. Aaj ham aapko ek aesi hi ek or kahani batate he. Or ye kahani aese vyakti ki he ki jinhone Pen bechte bechte hi Pen ki sabse badi company ka nirman kar diya. Ji ha ham pen ki jani mani company PARKER ke baare me hi baat kar rahe he. Or wo vyakti George Swinnerton Parker he. Chaliye unki safalta ki kahani ham aapko batate he.
Parker pen ka itihas
Parker



1960 tak Parker world wide writing instruments me pehle number par thi.

188 tak George Parker apni teligraphy ki padhai kar rahe the or sath me paise kamane ke liye part time me student ko JOHN HOLEND company ki pen bechte the lekin is pen ki major problem yeh thi ki isme hamesa hi ink lick hoti rehti thi. Isiliye is pen ko repair karke fir se studend ke liye likhne layak banane ka kaam parker ka the. Isliye wo hamesa hi apne paas lath, cutter jaise chije rakhte the. Or baar baar aa rahi ek jaise samasya ka solution laane ke liye unhone ek raasta nikala. Or Parker hamesa se hi apne jivan me kuch naya, alag or bada karna chahte the. Or yahi to mahan or kamiyab logo ki ek khasiyat hoti h ki we hamesa hi kuch naya or alag karke samasya ka samadhan lane ki sochte he. Or isiliye unhone ek FEEDER banaya or usko ek holder me laga diya.

Or yah raasta kaam kar gaya or unhone fountain pen ke svarup ko badal kar ek naya roop diya jo logo ko bahut pasamd aaya or unhone Parker ki patent karwa li. Wo is pen ki sales badhakar ek company banana chahte the lekin unke paas koi sales team nahi thi or na hi itne paise ki wo company bana sake. Lekin Jeans vally ek aesi jagah thi jaha par badi badi company ke salesmen aate the or vaha par acchi khasi hotel bhi thi. Isliye unhone ek rasta socha ki yaha par aanewale salesmen ko apni product bechne ke sath Parker pen bechne ki liye mana le. Or unhone aesa hi kiya.

1892 me W.F.Palmer naam ke ek vyakti ne Parker me join hone ki ichha darshayi lekin Parker ne unhe mana kar diya. Lekin Palmer unko manane me safal rahe or Palmer bhi Parker ke sath jud gaye. Or fir Parker sales or advertise ka kaam karne lage or Palmer paise or management ka kaam sambhalne lage. Fir unhone apni company ek 4 maal ki building me shift kar di jaha par pen or ink banane ka kaam hota tha.

1894 me Parker ne Lcky curve naam ki pen banayi or use market me launch kiya. Or logo me yah pen bahut famous rahi or isi pen ne Parker ko ek bada naam diya. Lekin business me success milne par cimpetation bhi chalu ho jati he. Or yaha bhi aesa huwa. Jeans vally me ek aur company ne pen banane ki sharuat ki. Is company ne pehle vishva yuddh ke darmiyan sainuko ke liye pen banane ki saruat ki. Lekin fir bhi Parker ne apni pahechan bana hi li. Or aaj bhi Patker ka samaves vishv ki top brand ki pen me hota he. Or business person Parker ka use gift dene me karte he. Parker ki sabse achhi pen JOTER bni or bahut sari pen company ne Joter ki copy karke pen banayi lekin tik nahi payi.

BY – HARDIK


http://www.hardiksinspritionalstory.com

0 comments:

Post a Comment

Popular Posts

Blogger news

© INSPRITIONAL STORY | Powered by hardiksinspritionalstory | Hardik Parmar designed by Website Design - Hardik Dot Com